एकतरफा निशान

Kitne dafe humne kahi, kitne dafe yun chup rahe
Uss baat ki kuchh silwatein ab bhi kohri hain
Tumne aasmaani ek kameez uss roz di thi turpan ko
Usmein baanyien oor ek silaayi ab bhi dheeli hai
Tumhari di kitaab mein bandhe thode gulaabi khayaal
Haan, kaagzi si mushq unki ab seeli-seeli hai
Aaj bhi hairaan hain wo khatte-meethe kuchh sawaal
Aaj bhi unhein poochh kar ye aankh geeli hai
Masoom dil ko ab bhi aadat ek raat-raani kisse ki
Uss raat ki kuchh karwatein har raat thehri hain
Kitne dafe humne kahi, kitne dafe yun chup rahe
Uss baat ki parchhaaiyaan ab bhi gehri hain...




